Sunday, December 21, 2008

akbar ki shayyiri

kya hai reh reh ke tabiyat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hizar[judai ki raat], na neend aati hai
vo bhi chup baithe hain, igyyiar[dushman] bhi chup,main bhi khamosh
aisi shohbat se tabiyat meri ghabrati hai
kyun na ho apni lagavat ki nazar par naazan[proudy]
jaante ho ki dilon ko ye laga leti hai
bazm-e-ishrat[khushi ki mehfil] kahin hoti hai.roa deta hun
koi guzri hui shobat mujhe yaad aati hai

No comments:

Post a Comment

wel come