Saturday, December 20, 2008

"Daag" ki shayyiri

usski mehfil se kahoon kya dil ko kyunkar le chala
haar kar ek baar chhoda phir mukrar[again] le chala
baandh kar muske[haath-paar] khayal-e-zulf-e-dilbar le chala
saanp ke muh mein mera mujhko mukadar le chala
chal diya vo shobda-gar[jadugar] main yeh kehta rah gaya
ussko lena, vo koi dil ko chura kar le chala
khub rizwaan[gateman of heaven] se dar-e-firdaus[heaven's door] par jhagde huye
hab buut-e-kaafir ko main dil mein chupaa kar le chala
manzil-e-makduus[wish] tak pahunche badi mushkil se hum
zauf[weakness] ne aksar bithaya, shaunk aksar le chala

No comments:

Post a Comment

wel come