Monday, December 22, 2008

faiz ki shayyiri

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain
har ajnabi, hamen marham dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
sabaa se karte hain gurbat naseeb[ghar se duur rehne wale] zikr-e-vatan[ghar ki charch]
toh chsm-e-subah[subah ki aankhon] mein aanso ubharne lagte hain
vo jab bhi karte hain iss nutak-o-lab ki bakhiyagari[lab aur baat bandh karna]
faza mein aur bhi nagme bikhrne lagte hain
dar-e-kafas[door of jail] pe andhere ki mohar lagti hai toh "faiz"
dil mein sitare ubharne lagte hain

No comments:

Post a Comment

wel come