Monday, December 22, 2008

faiz ki shayyiri

dil mein ab yun tere bhule huye gam aate hain
jaise bichade huye kaabe mein sanam aate hain
ik-ik karke huye jaate hain taare roshan
meri manzil ki taraf tere kadam aate hain
ras-e-mai[shraab ka daur] tez karo,saaz ki lai tez karo
su-e-maikhana[maikhane ki aur] safiraan-e-harm[dhram ke prtinidi] aate hai
kuch hamen ko nahin ehsaan ka dimaag vo toh
jab aate hain, maail-b-karam[kirpalu] aate hain
aur kuch der na guzre, shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai, vo yaad bhi kaam aate hain

No comments:

Post a Comment

wel come