Monday, December 22, 2008

ghalib ki shayyiri

ghar jab bana liya hai tere darr par kahe bagaiir jaanega ab bhi tu na mera ghar kahe bagaiir kehte hain, jab rahi na mujhe taaqat-e-sukhan[strength to speak] jaanu kisi ke dil ki main kyunkar kahe bagaiir kaam us'se aa pada hai ki jis ka jahan mein lewa na koi naam 'sitamgar' kahe bagair ji mein hi kuch nahin hai hamare, varna hum sar jaaye ya rahe, na rahein par kahe bagair chodunga main na uss buut-e-kaafir ka poojna chode na khalqgo mujhe kaafir kahe bagaiir maqsad hai naaz-o-ghamza, wale guftagu mein kaam chalta nahin hai, dashna-o-khanjar kahe bagair har chand ho mushaahit[God]-e-haq ki gufagu banti nahin hai baada[wine]-o-saagar kahe bagair behra hun main toh chahiye doona ho iltafaat[mercy] sunta nahin hun baat muqarrar[again] kahe bagair "ghalib" na kar hazoor mein tu baar-baar 'arz zaahir hai tera haal sab unn par kahe bagaiir

No comments:

Post a Comment

wel come