Monday, December 22, 2008

khayal ki shayyiri

veham hoga toh usse log yakin keh denge aasman ko giira denge, zamiin keh denge apne maksad ke liye ahle-hawas, kya maloom kisko gulfaam kise maahzabi keh denge ! umar bhar khul ke na ho payengi baaten bhaham[ek-dosre se] dono darte hain ki gaiiron se kahin keh denge ab ke socha hai ki hum pooch hi daalenge sawaal aur kya hoga bahut ! aap 'nahi' keh denge ! kaam hoga ki na hoga, ye toh jaane maalik aap kehte hain toh hum apne tayin[apni aur se] keh denge aazmiesh ke mayyar se wakiff hum bhi imtihaan sakht na loge toh humi keh denge dil dimaag aur badan ke bhi tanaasub[balance] pe 'khayal' vo khara utare toh, hum ussko hasin keh denge

No comments:

Post a Comment

wel come