Monday, December 22, 2008

muzaffar warsi ki shayyiri

haath aankhon pe rakh lene se khatraa nahin jaata diwaar se bhuuchal ko roka nahin jaata daavon ki taraazu mein toh azmat nahin tulti fiite se toh qirdaar ko naapaa nahin jaata [qirdaar : character; fiite : (measuring string] farmaan se pedon pe kabhi phal nahin lagte talwar se mausam ko badla nahin jaata [farman : hukam; pedon : trees] chorr apne gharon mein toh nahin naqab lagate apni hi kamai ko toh luuta nahin jaata auron ke khayalaat ki lete hain talaashi aur apne garibaan mein jhaanka nahin jaata faulaad se faulaad toh kat sakta hai lekin kaanuun se kaanuun badla nahin jaata tufaan mein ho naav toh kuch sabr bhi aa jaaye saahil pe khade ho ke toh duba nahin jaata dariya ke kinare toh pahunch jaate hain pyaase pyasoon ke gharon tak toh dariya nahin jaata Allah jise chahe usse milti hai "“Muzaffar” izzat ko dukaanon se khariida nahin jaata

No comments:

Post a Comment

wel come