Sunday, December 21, 2008

zauk ki shayyiri

kasad[irada] jab teri jiyarat[darshan] ka kabhi karte hain chasm pur aab se aaiine vazu[munh dhona] karte hain karte izhaar hain dar parda[on back] adaavat apni kyun mere aagay jo taarif aduu karte hain dil ka ye haal hai fa't jaaye hai sau jaa[jagah] se aur agar ik jaaye se hum issko rafuu karte hain toden ik naala se iss kaaspe[aasman] gurdu ko magar nosh[peena] hum iss mein kabhi dil ka lahu karte hain kade-dil-zu[premika ki uchai] ko tumhare, nahin dekha sayyad sar-kashi[vidroh] itni jo sarve labe zu[river side's tree] karte hai

No comments:

Post a Comment

wel come