Saturday, April 4, 2009

khaar dehlvi ki shayyiri

ussi ki dastanen hain, usski qissa-e-khwani hai
voh lutf-e-khaas jo mujh par tera ae yaar jaani hai
na ja, zalim abhi toh tishna-e-didar hain aankhein
zara dam le abhi toh dastan-e-gham sunaani hai
muhbbat fitna-e-mahshar, balaa-e-naagahaani hai
bujhi hasrat ka nauha hai, dil-e-marhuum ka maatam
ba-alfaaz-e-dagar ye sher-khwaani soz-khwaani hai
gharaana hai hamara daag ka hum dili wale hain
zamane mein musallam khaar apni khush-bayaani hai

No comments:

Post a Comment

wel come