Thursday, April 30, 2009

ubaidullah alim ki shayyiri

kuch din toh baso meri ankhon mein
phir khwab agar ho jao toh kya
koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mehkaao toh kya
jab hum hi na mehke phir saahab
tum baad-e-saba kehlao toh kya
ek aaina tha, so tuut gaya
ab khud se agar sharmao toh kya
duniya bhi vahi aur tum bhi vahi
phir tumse aas lagaao toh kya
main tanha tha, main tanha hun
tum aao toh kya, na aao toh kya
jab dekhne wala koi nahin
bujh jaao toh kya, gehnao toh kya
ek vehan hai ye duniya iss mein
kuch kho'ao toh kya paao toh kya
hai yun bhi jiya aur yun bhi jiya
jii jaao toh kya marr jao toh kya

No comments:

Post a Comment

wel come