Tuesday, May 19, 2009

faiz ki shayyiri

rang pairhan ka, khushbuuzulf lahrane ka naam
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
doston uss chashm-o-lab ki kuch kaho jiske bagaiir
gulistan ki baat rangin na maikhane ka naam
phir nazar mein phuul mehke dil mein phir shama jali
phir tasavuur ne liya uss bazm mein jaane ka naam
mohtasib ki khaiir, uncha hai ussi ke naam se
rind ka, saaqi ka, mai ka, khum ka, paimane ka naam
hamse kehte hain chaman wale gariibaan-e-chaman
tum koi achcha sa rakh lo apne viiraane ka naam
faiz unnko hai takaza-e-waffa humse jinhe
aashna ke naam hai se pyara hai begane ka naam
faiz ahmed faiz

No comments:

Post a Comment

wel come