Sunday, May 31, 2009

faraz ki shayyiri

dono jahaan teri mohabbat mein haar ke
woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
duniya ne teri yaad se begaana kar diya
tujhse bhi dil fryab hain gham rozgaar ke

No comments:

Post a Comment

wel come