Monday, May 18, 2009

jigar Muradabadi ki shayyiri

dastan-e-gham-e-dil unnko sunayi na gayi
baat bigadi thi kuch aisi ke banayi na gayi
sab ko hum bhool gaye hosh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulayi na gayi
ishq par kuch na chala deeda-e-tar ka jaadu
ussne jo aag lagi dil mein vo bujhayi na gayi
kya uthayegi saba khaak meri uss dar se
ye qaymat toh khud unnse uthayi na gayi

1 comment:

  1. humnein manga tha keyon sath chalnein mein unka
    yeh baat humse samjayi na gayi
    yadon ko mein jalane tha nikla magar
    ik arse ke sath ko aag lagayi na gayi
    mot ko to aana hi tha lakin
    humse bhi umer shupai na gayi

    its my own style.

    ReplyDelete

wel come