lutf voh ishq mein paaye hain ki jii jaanta hai
ranj bhi aise uthaye hain ki ji jaanta hai
muskurate huye voh majma-e-aghyaar ke saath
aaj yun bazm mein aaye hain ki jii jaanta hai
kaaba-o-dair mein pathra gayi donon ankhen
aise jalwe nazar aaye hain ki jii jaanta hai
dosti mein teri dar-parda hamare dushman
iss qadar apne paraaye hain ki jii jaanta hai
innhi qadmon ne tumhare, innhi qadmon ki qasam
khaak mein itne milaye hain, ki jii jaanta hai
'daag'-e-varaftaa ko hum aaj tere kuche se
iss tarah keench ke laaye hain, ki jii jaanta hai
No comments:
Post a Comment