Sunday, May 31, 2009

unknown

yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaye toh kuch aagay nikal gaye
halaat ki dhoop zara si der ko tez kya hui
jitne waffa ke paikar thay saare pighal gaye
vaadon ke tare raaton se bahar na ja sake
iraadon ke din nikalne se pehle hi dhal gaye
waffon ke rang shabnam ke qatron ne dho diye
mohbbat ke phool jazbon ki shiddat se jal gaye
taanon ke teer duniya ki kamaanon pe jab chadhe
sabar ke daaman haathon se yakdum phisal gaye
ankhein khuli toh khabon ko bura laga magar
kuch der vo reh ke muztarib khud hi behal gaye
pehle pehle toh ajeeb lage badle huye chehre
phir yun hua ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaye

No comments:

Post a Comment

wel come