Sunday, June 14, 2009

adeem ki shayyiri

kat hi gayi judai bhi kab ye hua ke marr gaye
tere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye
tere liye chale thay hum, tere liye thehr gaye
tune kaha ji uthe, tune kaha toh mar gaye
waqt hi kuch judai ka itna taweel ho gaya
dil mein tere wisaal ke jitne zakhm thay bhar gaye
aaj bhi intzar ka waqt hanoot ho gaya
aise laga ke hashr tak saare pal hi thehr gaye
vo bhi gubhar-e-khak tha, hum bhi gubhar-e-khak thay
vo bhi kahin bikhar gaya, hum bhi kahin bikhar gaye
koi kinar-e-aab jo baitha hua hai sarnagon
kashti kidhar chali gayi, jane kidhar bhanwar gaye
barish wisaal vo hui sara gubhar dhul gaya
vo bhi nikhar gaya hum bhi nikhar gaye
itne kareeb ho gaye itne raqeeb ho gaye
vo bhi adeem dar gaya, hum bhi adeem dar gaye
usske saluuk par 'adeem' apni hayat-o-maut hai
vo jo mila toh jii utthe vo na mila toh marr gaye

No comments:

Post a Comment

wel come