Thursday, June 18, 2009

adeem ki shayyiri


faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
wo ke khushbu ki tarah phaila tha mere chaar suu
main usse mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha
raat bhar usski hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
aks toh maujood thay par aks tanhaai ke thay
aaina toh tha magar uss mein tera chehra na tha
aaj ussne dard bhi apne alaiheda kar diye
aaj main roya toh mere saath vo roya na tha
ye sabhi viraniyan usske juda hone se thi
aankh dhundlaai hui thi shahr dhundalaya na tha
yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi 'adeem'
bhool jaane kr siva ab koi bhi chaara na tha

No comments:

Post a Comment

wel come