Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

ghamza[nakhra] nahin hota ki ishara nahin hota
aankh unnse jo milti hai toh kya kya nahin hota
jalwa na ho maani ka toh surat ka asar kya
bulbul gul-e-tasveer ka shydaa[chahna] nahi hota
allah bachaye marz-e-ishq se dil ko
sunte hain ki ye aarzaan achcha nahin hota
tashbeeh[misaal] tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shgufta magar itna nahin hota
main naz’aa[death time] mein hun aayen toh ehsaan hai unnka
lekin ye samjh len ke tamasha nahin hota
hum aah bhi karte hain toh ho jaate hain badnaam
vo qatl bhi karte hain toh charcha nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come