Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

sau jaan se mahv-e-rukh-e-jaana[dekhna] hain toh hum hain
iss aaiina khana[shishe ka ghar] mein jo hairan hain toh hum hain
gul_gisht Karen, phool chune unnko hai kya gham
aawara-e-sahra-e-mugeelan hain toh hum hain
bhadki hui hai aatish-e-gul apne hi dam se
soz-e-jigar-e-bulbul-e-nalah hain toh hum se
shor apne hi jalwe ka hai ye dair-o-haram mein
maksood-e-dil-e-ghabru-o-muslmaan hain toh hum hain
ae bark[bijli] tadpne mein hum hain tere saathi
ae abr[badal] tere saath jo giryaan[rota] hai toh hum hain
din raat raqibon pe hai sahib ki inayat
bas ek gham-e-hizr mein nalah hai toh hum hain

No comments:

Post a Comment

wel come