Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

dil mera jis se behalta koi aisa na mila
buut ke bande mile, allah ka banda na mila
bazm-e-yaaran se phiri baad-e-bahari mayyus
ek sar bhi usse aamda-e-sauda[ready for madness] na mila
gul ke khuwahan toh nazar aaye bohat itr-farosh
taalib-e-zamzama-e-bulbul-e-sha’eda na mila
wah kya raah dikhayi hai hamen murshid ne
kar diya qaabe ko gum aur kalisa na mila
rang chehre ka toh kaaliz neb hi rakha qayam
rang-e-baatin[secret] mein magar bhaap se beta na mila
sayyaad uthe jo ghazt le ke lakhon laaye
shekh quran dikhate phire paisa na mila
hoshiyaron mein toh ik ik se siva hai ‘akbar’
mujhko diwanon mein lekin koi tujhsa na mila

No comments:

Post a Comment

wel come