Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

jo tumhare lab-e-jaan_bakhsh[jidngi dene wale lab] ka shae’da hoga
uth bhi jayega, jahan se toh masiha hoga
vo toh muusa hua jo taalib[ichhuk]-e-diidar hua
phir vo kya hoga ki jisne tumhen dekha hoga
kais[majnu] ka zikr mere shaan-e-junoon ke aagay
agle waqton ka koi badaya-paima[sharabi] hoga
aarzu hai mujhe ik shaks se milne ki bohat
naam kya lun koi allah ka banda hoga
lal-e-lab ka tere bosa toh main leta hun magar
dar ye hai khoon-e-jigaar baad mein peena hoga

No comments:

Post a Comment

wel come