Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

meharbani hai ayaadat ko jo aate hain magar
kis tarah unnse hamara haal dekha jayega
daftar-e-duniya ulta jayega bilkul yak’kalam
zar’ra zar’ra sabka asli haal dekha jayega
aafishiyal aamal name[karmo ka hisab] kin a hogi kuch sanad
hashr mein toh naam-e-aamal [karamu ka hisab] dekha jayega
bach rahe taa’uun se toh ahl-e-gaflat[laparwah log] bol uthe
ab toh mohlat hai phir agle saal dekha jayega
the karo saahab nasab-naame[vansh-taalika] vo waqt aaya hai ab
beasar hogi sharafat, muaal[karam] dekha jayega
rakh kadam saabit, na chhod, ‘akbar’ saraat-e-mastkeem[patla rasta]
khair chal jaane de unnki chaal, dekha jayega

No comments:

Post a Comment

wel come