Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

kya jaaniye sayyd thay haq-aagah[sachai jan’ne wale] kahan tak
samjhe na ki sidhi hai meri raah kahan tak
mantic[falsfa] bhi toh ik cheez hai ae qibla-o-qaba[respectable]
de sakti hai kaam aapki ‘wallah’ kahan tak
iflaaq[seven sky] to hiss ahd[time] mein saabit huye maaduum[gayab]
ab kya kahun jaati hai meri aah kahan tak
kuch sanaat-o-hirfat pe bhi lazim hai ta’vajah
akhir iss government se tankhaah kahan tak
marna bhi jaroori hai khuda bhi hai koi cheez
ae hiraske bandon hawas-e-jaah[trishna[] kahan tak
tehseen[praise] ke layak tera har shair hai ‘akbar’
ahbaab[friends] Karen bazm mein ab wah kahan tak

No comments:

Post a Comment

wel come