Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

dil-e-mayus mein vo shorishen barpa nahi hoti
ummedein iss qadar tooti ki ab paida nahi hoti
meri betabiyan bhi juzab[part] hain ik meri hasti ki
ye zahir hai ki mauzen khariz-az-dariya nahi hoti
vahi pariyan hain ab bhi raja indar ke akhaade mein
magar shehzada-e-gulfam par shay’daa nahin hoti
yahan ki aurton ko ilz ki parwa nahin be_shaq
magar ye shohron se apne be_parwah nahin hoti
taalluq dil ka kya baqi main rakhun bazm-e-duniya se
vo dilkash suratein ab anzuman_aara nahin hoti
hua hun iss qadar afsurda-rang[udas], baag-e-hasti se
hawaein fasl-e-gul ki bhi nishat_afza nahin hoti
qaza ke saamne bekaar hote hain hawas ‘akbar’
kholi hoti hain go aankhen magar beena[roshan] nahin hoti

No comments:

Post a Comment

wel come