Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

teri zad se nikalana chahta hai
ye dariya rukh badalna chahta hai
vo sapna jiski surat hi nahin hai
meri aankhon mein chalna chahta hai
dilon ki maandagi pe kya ta'ajjub
ki suuaj bhi toh dhalna chahta hai
nashist-e-dard badali hai toh ab dil
zara pehlu badalna chahta hai
mujhe bhi saamna hai karbala ka
mera sar bhi uchhalna chahta hai
nahin hai tarjumaan-e-gham ye aansu
ye paani ab ubalna chahta hai
tabssum zer-e-lab kehta hai 'amjad'
koi jazba machalna chahta hai

No comments:

Post a Comment

wel come