Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

Khud apne liye baith ke sochenge kisi din
yun hai ki tujhe bhuul ke dekhenge kisi din
bhatke huye phirte hain kai lafz jo dil mein
duniya ne diya vaqt toh likkhenge kisi din
hil jaayenge ik baar toh arshoun ke dar-o-baam
ye khaak nashin log jo bolenge kisi din
aapas ki kisi baat ka milata hi nahin vaqt
har baat ye kahte hain ke baithenge kisi din
ae jaan teri yaad ke be-naam parinde
shaakhoun pe mere dard ki utarenge kisi din
jaati hai kisi jheel ki gaharaai kahan tak
aankhoun mein teri duub ke dekhenge kisi din
Khushbu se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhenge kisi din
soyenge teri aankh ki khlvat mein kisi raat
saaye mein teri zulf ke jaagenge kisi din
Khushbu ki tarah ,asl-e-saba khaak numa se
galiyoun se tere shahar ki guzarenge kisi din
'amjad' hai yahi ab ke kafan baandh ke sar se
uss shahr-e-sitamgar mein jaayenge kisi din

No comments:

Post a Comment

wel come