Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

aankhon ke rang baat ka lehja badal gaya
woh shakhs ek shaam mein kitna badal gaya
Kuch din toh mera aks raha aaiine pe naqsh
phir yun huwa ke khud mera chehra badal gaya

jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
toh kiya hua jo humse zamana badal gaya
qadmon tale jo reit bichhi thi woh chal padi
ussne chhudaya haath toh sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
jaate hi ek shaks ke, kiya kiya badal gaya
ik sarkashi ki mauj ne kaisa kiya kamal
wo be-niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfe ke darmiyan
parda utha toh saara tamasha badal gaya
hairat se saare lafz usse dekhte rahe
baaton mein apni baat ko kaise badal gaya

kehne ko ik sehan mein deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
shayad waffa ke khel se ukta gaya tha woh
manzil ke paas aa ke jo rasta badal gaya

qayam kisi bhi haal pe duniya nahin rahi
taabiir kho gayi kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asal mein saaya tha rang ka
jis ne usse jidhar se bhi dekha badal gaya

andar ke moshmon ki khabar ussko ho gayi
uss nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
aankhon mein jitne ashk thay jugnu se ban gaye
woh muskuraya aur meri duniya badal gaya

apni gali mein apna hi ghar dhoondhte hain log
'amjad' ye kaun shehr ka naqsha badal gaya

No comments:

Post a Comment

wel come