Friday, June 12, 2009

amjad islam amjad ki shayyiri

guzre hain tere baad bhi kuch log idhar se
lekin tere khushbu na gaayi rahguzar se
kyun dubti bhujti hui aankhon mein hai roshan
raaton ko shikyat hai toh itni hai sehar se
kiya thaan ke nikla tha kahan aa ke pada hai
puuche toh koi iss dil-e-sherminda safar se
aaya hai bohat der mein vo shaks par issko
jazbat ki iss bheed mein main dekhon kidhar se
din thay ke hamen shehr-e-badub tak ki khaber thi
aur ab nahi aaghah tere khair khaber se
'amjed' na qadam rok ke vo door ki manzil
niklegi kise roz issi gard-e-safar se

No comments:

Post a Comment

wel come