Monday, June 15, 2009

anand narayan mulla ki shayyiri

jaan-e-afasana yahi kuchh bhi ho afasane ka naam
zindgi hai dil ki dhadakan tez ho jaane ka naam
qatraa qatraa zindgi ke zehar ka peena hai gham
aur khushi hai do ghadi pee kar behak jaane ka naam
intzaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon ka nuur
aur bahaar-e-baagh leti hi nahin aane ka naam
taab-e-naakami nahin tho aarzu karta hai kya
aarzu hai mauj ke sahil se takrane ka naam
aaj tu kal koi aur hoga sadar-e-bazm-e-mai
saqiya tujhse nahin hamse hai maikhane ka naam
waaqif-e-'mullah' na thi bazm-e-khirad, ye tai hua
ho na ho, ye hai kisi mashhuur diwaane ka naam

No comments:

Post a Comment

wel come