Monday, June 15, 2009

anand narayan mulla ki shayyiri

fitna phir aaj uthaane ko hai sar lagta hai
khuun hi khuun mujhe rang-e-sahar lagta hai
maan lun kaise ki main aib sarapa hun faqat
mere ahbaab ka ye husn-e-nazar lagta hai
kal jise phunka tha ye keh ke ki dushman ka hai ghar
sochta hun toh vo aaj apna hi ghar lagta hai
ehatiyatan koi dar phod len diwaar mein ab
shor badhta hua kuch jaanib-e-dar lagta hai
ek darwaza hai har samt mein khulane ke liye
hon na ho ye toh mujhe shekh ka ghar lagta hai

No comments:

Post a Comment

wel come