Wednesday, June 10, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

sitam hi karna jaffa hi karna nigah-e-lutf kabhi na karna
tumhen qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
kahan ka aanaa kahan ka jaana vo jaante hi nahin ye rasmen
vahan hai vaade ki bhi ye surat kabhi toh karna kabhi na karna
hamari mayyat pe tum jo aana toh chaar aansu baha ke jaana
zara rahe paas-e-aabaru bhi kahin hamari hansi na karna
vo ik hamara tariiq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna
ye ek sheva tera sitamgar ki dost se dosti na karna
nahi hai kuch qatal unnka asaan ye sakht jaan hain buri bala ke
qaza ko sharik karna ye kaam apni khushi na karna
meri toh har baat hai zahir unnko woh unnke matlab hi ki kyun na ho
ke unnse jo iltaja hai kehna ghazab hai unnko wohi na karna
ham ek rasta gali ka usski dikha ke ussko huye pasheman
ye hazrat khizar ko bata do kisi ki tum raahbari na karna
bayan-o-vird-o-firaq kaisa ke hai waha apni ye haqiiqat
jo baat karni toh na karna' varna toh woh bhi kabhi na karna
sada rahe naseho tumhi par tamam ab usski munsafi ka
zara toh kehna khuda lagi bhi faqt sukhn parvari na karna

No comments:

Post a Comment

wel come