Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

kab thehrega dard-e-dil, kab raat basar hogi
sunte thay vo aayenge, sunte thay sahar hogi
kab jaan lahu hogi, kab ashq guhar hoga
kis din teri shanvaai, ae deed-e-tar hogi
kab mehakegi fasl-e-gul, kab behkega mai_khana
kab subah-e-sukhan hogi, kab sham-e-nazar hogi
waaiz hai na jahid hai, na naseh hai na qaatil hai
ab shehr mein yaaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi raah dekhe, ae qaamat-e-jananaa
kab hashr muay’yaan hai, tujhko toh khabar hogi

No comments:

Post a Comment

wel come