Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

kai baar usska daaman bhar diya husn-e-do-aalam se
magar dil hai ki usski khana-viraani nahi jaati
kai baar isski khatir zarre-zarre ka jigar cheera
magaar ye chashm-e-hairaan jiski hairani nahin jaati
mera chashm-e-tan asaan ko baseerat mil gayi jab se
bohat jaani hui surat bhi pehchani nahin jaati
sar-e-surkhab[king] se naaz-e-kazkulaahi[kingly proud] chiin bhi jaata hai
kulaah-e-khusravi[king’s crown] se buu-e-kazkulaahi[raj karne ki aadat ] nahin jaati
ba-juz diwangi vaa’n aur chaara hi kaho kya hai ?
jahan aql-o-khirad ki ek bhi maani nahi jaati

No comments:

Post a Comment

wel come