Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhen yaad karne lagte hain
har ajnabi, hamen mahram[known] dikhayi deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
saba se karte hain gurbat naseeb[ghar se duur] zikr-e-vatan
toh chashm-e-subah mein aansu ubharne lagte hain
vo jab bhi karte hain iss nutak-o-lab ki bakhiyagaari
faza mein aur bhi nagme bikharne lagte hain
dar-e-kafas pe andhere ki muhar lagti hai
toh ‘faiz’ dil mein sitare ubharne lagte hain

No comments:

Post a Comment

wel come