Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

ab ke baras dastoor-e-sitam mein kya kya baab izaad huye
jo kaatil thay maktool huye, jo sa’yd[shikaar] thay ab sayaad[shikaari] huye
pehle bhi khizan mein bhag ujde, par yun nahi jaise ab ke baras
saare buute pat’ta pat’ta ravish ravish barbaad huye
pehle bhi tawaaf-e-shm-e-waffa[shma ke chkar lagana] thi rasm muhbbat walon ki
hum tumse pehle bhi yahan mansoor huye, farhaad huye
ik gul ke murjha jaane par kya gulshan mein kohraam macha
ek chehra kumlah jaane se kitne dil nashaad huye
‘faiz’ na hum yusuf[most beautiful man] na koi yakuub[yusuf’s father] jo humko yaad kare
apni kya kan’aan[yusuf’s birthplace] mein rahe, ya misr mein ja aabad huye

No comments:

Post a Comment

wel come