Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

sham-e-firaq ab na puuch, aayi aura a ke tal gayi
dil tha ki phir bahal gaya, jaan thi ke sambhal gayi
bazm-e-khayal mein, tere husn ki shamma, jal gayi
dar ka chand bhujh gaya, hizr ki raat dhal gayi
jab tune yaad kar liya, subah mehak-mehak uthi
jab tera gham jagaa liya, raat machal machal gayi
dil se toh har muamlaa karke chalet hay saaf hum
kehne mein unnke saamne baat badal badal gayi
aakhir-e-shab ke humsafar ‘faiz’ na jaane kya huye
reh gayi kis jagah saba, subah kidhar nikal gayi

No comments:

Post a Comment

wel come