Sunday, June 14, 2009

faraz ki shayyiri

dekhna sab raks-e bismil mein magan ho jaynge
Jis taraf se teer aayega udhar dekhega kaun
zakhm jitne bhi thay sab mansoob qaatil se huye
tere hathon ke nishan ae charagar dekhega kaun
woh hawas ho ya waffa ho baat mehruumi ki hai
log toh phul phool dekhege shajr dekhega kaun
meri awaazon ke saaye mere baam-o-dar pe thay
mere lafzon mein utar kar mera ghar dekhega kaun
hum chirag-e shab hi jab thehre toh phir kiya sochna
raat thi kis ka muqaddar aur sahar dekhega kaun
aa faseel-e-shahr se dekhe ghneem-e shahr ko
shahr jalta ho toh tujhko baam par dekhega kaun
har koi apni hawa mein mast phirta hai'faraz'
shahr na-pursaan mein teri chashm-e-tar dekhega kaun

No comments:

Post a Comment

wel come