Friday, June 12, 2009

hayat hashmi ki shayyiri

ghar nahin saybaan baqi hai
chhat nahin asmaan baqi hai
har baras khet lahlahate hain
har baras ka lagan baqi hai
gaaon ka gaaun jal gaya sahib
aap hi ka makaan baqi hai
kaise bhulunga aapki baatein
dil pe gehra nishan baqi hai
vo hi qayam rahengi duniya mein
jin chhaton mein dhalaan baqi hai
vo namazein na vo namazi hain
masjidein hain azaan baqi hai
ek na ek roz hogi qadr-e-'hayat'
zeest ka tarjuman baqi hai

No comments:

Post a Comment

wel come