Friday, June 12, 2009

hasrat mohaani ki shayyiri

masti ke phir aa gaye zamane
abaad huye sharab khane
har phuul chaman mein zar-ba-kaff[hands full with gold] hai
baante hain bahar ne khazane
sab hass pade khilkhila ke gunche
chheda jo latifa saba ne
sar-sabz hua nihaal-e-gham bhi
paida vo asar kiya hawa ne
rindon ne pii kar pilaa dii
vaa_iz ke na chal sake bahaane
kar dunga main har vali ko mai_khwar
taufiiq jo di mujhe khuda ne
hamne toh nisaar kar diya dil
ab jaane vo shokh ya na jaane
begana-e-mai kiya hai mujhko
saaqi ki nigah-e-aashna ne

No comments:

Post a Comment

wel come