Friday, June 12, 2009

hasrat mohaani ki shayyiri

dekhna bhi toh unhen duur se dekha karna
sheva-e-ishq nahin husn ko ruswa karna
ik nazar hi teri kaafi thi ki ae rahat-e-jaan
kuch bhi dushwar na tha mujhko shakeba karna
unnko yaan vaade pe aa lene de ae abr-e-bahar
jis tarah chahana phir baad mein barsa karna
sham ho yaa ki sahar yaad unnhin ki rakh le
din ho ya raat hamen zikr unnhin ka karna
kuch samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'
unnse mil kar bhi na izhaar-e-tamanna karna

No comments:

Post a Comment

wel come