Monday, June 15, 2009

majid deobandi ki shayyiri

tumhen hai shauq agar bijaliyan girane ka
hamara kaam bhi hai aashiyan banane ka
bhala vo kaise samandar ke paar utarega
nafas nafas jinhen khadsha hai duub jaane ka
suna hai aap hain maahir hawa chalane mein
magar hamen bhi hunar hai diye jalane ka

No comments:

Post a Comment

wel come