Monday, June 1, 2009

mohsin ki shayyiri

dar-e-qafas se pare jab saba guzarti hai
kise khabar aswwroun pe kya guzarti hai
taluqat kabhi iss qadar na toote thay
ke teri yaad bhi dil se khaffa guzarti hai
vo ab mile bhi toh milta hai iss tarah jaise
bujhe chiragon ko chuu kar hawa guzarti hai
ye ahel-e-hijar ki basti hai ikhtiyaat se chal
musibatoun ki yahan inteha ki guzarti hai
bhanwar se bach toh gayin kashtiyan magar ab ke
dilon ki khair ke mauj-e-bala guzarti hai
na puuch apni ana ki bagavetein 'mohsin'
dar-o-qabool se bach ke dua guzarti hai

No comments:

Post a Comment

wel come