Wednesday, June 17, 2009

rustom sehgal wafa ki shayyiri

tere nisaar saaqiya jitani piyun pilaaye ja
mast nazar ka vasta mast mujhe banaaye ja
tujhko kisi se garaz kya bijali kahin giraaye jaa
dil jale ya jigar jale tu yunhi muskuraaye ja
saamne mere aa ke dekh rukh se naqaab hataa ke dekh
khilaman-e-dil hai muntazair barq-e-nazar giraaye ja
'wafa'-e-badnasiib ko bakhsha hai tune dard jo
hai koi iss ki bhi dava itana zara bataaye ja

No comments:

Post a Comment

wel come