Tuesday, June 23, 2009

saahir ki shayyiri

kuch ajab zindagi ke manzar hain
duur tak reit ke samandar hain
meri hii roshani ke peikar hain
chand shaklen jo dil ke andar hain
dil jo therare toh kuch suraag mile
qarz kis kis nazar ke ham par hain
hai badi cheez naazuki dil ki
kis se kahiye ki log patthar hain
khul gayi aankh toh khula ham par
khwab bedaariyon se behtar hain
khamoshi khud hai ek gehrayi
chup hain jo log woh samandar hain
zakhm par kya guzar gayi 'sahir'
reza reza tamaam nashtar hain

No comments:

Post a Comment

wel come