Tuesday, June 23, 2009

unknown

ajab waaiz ki deen_daari hai yaa rab
adawat hai isse saare jahan se
koi ab tak na ye samajha ke insan
kahan jaata hai, aata hai kahan se
wahin se raat ko zulmat mili hai
chamak taaron ne paayi hai jahan se
hum apni dardmandi ka fasana
suna karate hain apne raazdaan se
badi bareek hain waaiz ki chalein
laraz jaata hai awaaz-e-azaan se

No comments:

Post a Comment

wel come