Sunday, June 14, 2009

tishna ki shayyiri

aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna
tamam pochhne walon ko bas dua kehna
ye kehna raat guzarti hai ab bhi aankhon main
tumhari yaad ka qayam hai silsila kehna
ye kehna chand utarta hai baam par ab bhi
magar nahi vo shab-e-maah ka maza kehna
ye kehna masnd-e-shakh-e-namoo pe tha jo kabhi
wo phool surat-e-khushbu bikhhar gaya kehna
ye kehna qarya-e-jaan main hain dam bakhud sab log
tamam shehr hua maqtal nawa kehna
ye kehna hasrat-e-tameer ab bhi hai dil main
bana liya hai makan toh makan numa kehna
ye kehna ham ne hi tufan maiNn daal di kashti
qasoor apna tha dariya ko kya bura kehna
ye kehna ho gaye ham itne maslehat andesh
chale jo lau toh usse bhi khunak hawa kehna
ye kehna haar na mani kabhi andheron se
bujhe chiragh toh dil ko jala liya kehna
ye kehna tum se bichhad kar bikhhar gaya tishna
ke jaise haath se gir jaaye aaiina kehna

No comments:

Post a Comment

wel come