unknown
kyon aaj hakikat, ek fasana laga,
... meri rukhsat pe, tu begana laga ...
akhiri salaam bhi aise hua nasib,
... ye muskurana ehsaan jatana laga ...
munasib tha gar tu aata hi nahi,
... yaaron ke beech, tu anjana laga ...
ek hi pal mein wo naata tuta hai,
... jise banane mein, ek zamana laga ... .....
No comments:
Post a Comment