jab namaaz-e-muhbbat ada kijiye
gair ko bhi shariik-e-dua kijiye
aankh wale nigahen churaate hain
aaiina kyun na ho saamna kijiye
aankh mein ashk-e-gham aa bhi jaayen toh kya
chand qatre toh hain, pii liya kijiye
aap ka ghar sada jagmagata rahe
raah mein bhi diya rakh diya kijiye
zer-e-paa hain samandar ki gehrayian
ab toh sahil pe bhi tajurba kijiye
No comments:
Post a Comment