Sunday, June 14, 2009

unknown

kisko qatil main kahun kis ko masiah samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samjhun
wo bhi kiya din thay ke har veham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye toh usse kya samjhun
dil jo tuuta toh kai haath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samjhun
zulm ye hai ke hai yaqta teri beganavari
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samjhun !!

No comments:

Post a Comment

wel come