Friday, June 12, 2009

unknown

teri aankhon mein mere dil ka naqsha ho bhi sakta hai
jise diwaar samjha hai woh rasta ho bhi sakta hai
zamana ghaur se dekhe jise iss ne khuda samjha hai
woh iss ke haath ka pathar tarasha ho bhi sakta hai
nazar se door reh kar bhi kisi soch mein rehna
kisi ke paas rehne ka tariiqa ho bhi sakta hai
woh apni sard mohri se mujhe hadh mein toh rakhta hai
mera hadh se guzarne ka irada ho bhi sakta hai
bhari duniya ka mela saath ho toh kaun si mushkil
magar ek shaks mele mein akela ho bhi sakta hai
yeh seedhi raah par chalna kahan se seekh aaye ho ?
yeh rasta dosti ka hai yeh tera ho bhi sakta hai
main apne jism-o-jaan ko saath rehte dekh kar samjha
nibhana ho jise mushkil vo rishta ho bhi sakta hai
machalta thokren khata hua pani ka ek dharaa
tere dil tak pohnchne ka bahana ho bhi sakta hai
nikal kar band kamre se zara baazar mein aao
agar tum dekhna chaho tamsha ho bhi sakta hai

No comments:

Post a Comment

wel come